Upgrad
LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Chanda vivad

(Querist) 22 March 2014 This query is : Resolved 
sir/madam,hamare house ki wall(chanda) hamara hai. lekin neighbour ne hamari wall me apni chhat ka bhar de rakha h farshiya laga rakhi h jisk bhaar(weight) k karan hamari diwar me ek badi si darar ho gai hai hum apna makan reconstruct karna chahte hai par neighbour pareshani khadi kar raha h ki mera makan gir jayega ap diwar nahi khol sakte neighbour chahta h yadi diwar kholna hai to wapis nai diwar me uski farshiya lagaye aur isk liye stamp par anubandh kare.
please bataye aise me muze kya karna chahiye.
prabhakar singh (Expert) 22 March 2014
Jab karna tha tab kiye nahee ab kya puchna?

Jab dival apni thi tab usko banane k vaqt hi khud ya adalat kinjunction order k jareeye rokana tha.

Ab vo kahega ki deewar uski hai aur adalat se injunction bhee la sakta hai.
malipeddi jaggarao (Expert) 22 March 2014
Jagah appa ka hai tho uskaa kya right rahegee? Aap apki plan se age bade and jagah ki sabooth saath rakhe, taaki, vo adalat me daawaa dakhil kare tho aap kisee vakeel ko sabhee paper dikhake, case ladne keliye tayyar hona hai.
Rajendra K Goyal (Expert) 22 March 2014
You have not objected at the initial stage. Now try to have mutual understanding and amicable solution with the help of nears dears and common friends. If court is approached it would take 5-10 years in decision and considerable cost. You would block your development work till that time and also would not be having any relations with your neighbors.
mohit jain (Querist) 23 March 2014
ap sbhi ko dhanyawad, prabhakar sir humne ye makan 9 saal pahle purchase kiya h aur usme chanda hamara likha hua tha. usk pahle se hi usne aisa kar rakha hai.usk pass makan ka permission bhi nahi hai naksha bhi pass nahi hai. aur hamare sukhadikar ka kya usk karan hamari diwal kshti grast ho gai hai.paani tapakne laga hai.rajendra sir humne unhe samjhaya hum unhe kucch rs bhi de rhe the ki wo unki diwaro ka bhar hata le par wo kahne lage ki nai diwar me hamare idhar hum apni electric fitting and sink wagera fir lagayenge.


You need to be the querist or approved LAWyersclub expert to take part in this query .


Click here to login now