Upgrad
LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Family law

(Querist) 06 March 2013 This query is : Resolved 
Dear Experts,

1 lady (Age 28-30 Years)jo ki pehle se shadi suda hai, usne mere chote bhai (Age 18 Years)ko apne pyar ke chakkar me fasa liya hai. Ab woh aurat & mera bhai apna ghar chod kar kahi rent par reh rahe hai.

Kisi samasya se bachne ke liye humne news paper me notice de diya ki ab mere bhai se mera koi bhi rista nahi, and apne galatiyo ke liye woh khud jimmedar hoga.

Agar phir bhi meri family par koi samasya aye toh mujhe is situation me kya karna chahiye. Please advice.
ajay sethi (Expert) 06 March 2013
vakil ko contact karna chaiye
Raj Kumar Makkad (Expert) 06 March 2013
samsya ke bare main pehle se kuchh anuman nhi lgaya ja sakta aur uska samadhan usi samye sochna theek rhega magar sabse bdi samsya to aapke bhayee ke upar hai jisko samjhaya jana chahiye kisi na kisi dost ya rishtedar ke dwara taki vo chakkar se bahar aakar apna career bna ske. kachhi umar hai abhi uski aur vo jadugarni usko jane kya bna degi aur aap sirf apni family ki chinta karte reh jayenge. pehle abhi aayee samsya ko dekho.


You need to be the querist or approved LAWyersclub expert to take part in this query .


Click here to login now



Similar Resolved Queries :