Upgrad
LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

supreme court ki sight se nikali ruling manya hoti hai kya

Querist : Anonymous (Querist) 02 March 2010 This query is : Resolved 
you can post your reply in english, sir,, supreme court ya high court ki websight se nikale faisle yadi print nikalkar ya cd main jama kiye jave to kya court usko accept karegi, informasion and technology act main to email ki vaidhyata ka pravdhan hai, to kya apni hi adhikarik web side ke faisle print nikal kar court manya karegi
Guest (Expert) 02 March 2010
HAAN MANYA HOTI HAI.... PARANTU NYAYALAYA KO IS PEHLU KO BHI DHYAN RAKHNA PADTA HAI KI KAHI KOI SWAYYAM KE DWARA HI APNI MARZI KA JUDGEMENT TYPE KARKE PRINT NIKAAL KAR PRASTUT NA KAR DE.... ISLIYE COURT KAI BAAR INTERNET SE PRINT KIYE RULINGS KI AUTHENTICITY KO DEKHTI HAI..... LAW REPORTERS ME SITE RULINGS AUR SC & HC KE JUDGEMENTS N ORDER KI CERTIFIED COPY NI-SANDEH MANYA HOTI HAI...... DHANYAWAD
Sarvesh Kumar Sharma Advocate (Expert) 02 March 2010
ji haan.
Sarvesh Kumar Sharma Advocate (Expert) 02 March 2010
ji haan.
mr. ajitabh ne poori baat kah di hai.
Arvind Singh Chauhan (Expert) 02 March 2010
Ap Ruling ke sath affidavit de sakte hain ki yah satay hai.
Sanjeev Panda (Expert) 02 March 2010
My friend Ajitabh has explained so nicely in Sudh Hindi.
Adinath@Avinash Patil (Expert) 02 March 2010
Mr.Ajitabh explained very good I agree with him.


You need to be the querist or approved LAWyersclub expert to take part in this query .


Click here to login now



Similar Resolved Queries :