Property right
Guest
(Querist) 01 September 2015
This query is : Resolved
Mere Dada ji ke pita ke 2 putra the unhone dono ko apne maakan me hissa de diya tha par mere dadaji ke bhai ne apna hissa mere dadaji ke pita ke naam par he rahne diya mere dadaji ke pita ki mratyu ke baad dono bhaiyo me phir se batwara hua or mere Dada ji ke bhai ne makaan or jameen ke badle chal sampatti le li thi mere dadaji ne us makaan ko 24 saal pehle bana bhi liya tha jab unke bhai bhi jiveet the or aaj ukth makaan 15 saal se mere pita me naam par hai. Mere dadaji 1998 me or Unke bhai 1996 me shant ho chuke hai.mere dadaji ke bhai ne 2 shaadi ki thi. Unki pehli patni ki 3 ladkiya hai or WO mere dadaji ke bhai ki samppatti me se apna haq le chuki hai. Ab itne saal baad unhone hamare ghar me bhi hissa managa hai. Kya unka rights itne saal baad bhi banega jabki unke pita ke saamne hi sab ho chuka tha.
Kumar Doab
(Expert) 01 September 2015
Member account deleted. So no reply.