Meri sadi 2003 Hindu rivaz se hui thi aur mera ek baccha tha aur dusri bar jab meri wife pregnant thi tab vo mere se naraj ho k chali gayi uski ma k ghar aur case file kiya u/s 125 crpc for maintenance ) fir hum wife vapis leke agaye ghar mere ghar pe usne jid ki muje Maharashtra pasand nahi hai Gujarat rehne jana hai aur bina bataye chali gayi dono baccho ko leke 2008 me tab se hum dono alag rehte hai fir usne file false 498 against me on 12.04.2010 ( actually I was not with her although she file false case) police n muje jail me rakha do din fir me bail par chut gaya aur fir maine divorce file kya 2008 me final ex party decree 2010 ,may me ho gayi fir usne gujart me case 19.11.2010 ko rakha divorce k liye final decree 30.7.2011 ho gayi as per hindu marriage act u/s 13(B)
Ab usne 2010 me increment of maintenance ka case rakha tha uska ex party order aya hai Fir se usne usme bhi paisa bhadane k application kar diya To muje ye janna hai ki divorce hone k bad bhi vo mere se maintenance mang sakti hai kya jab ki usne to meri noukri bhi chudvadi di mere office me hi sari notice aur police ko bhej k aur vo khud m.com ki hai aur abhi LLB kar rahi hai usi court me roj jati hai practice k liye jaha ye sare case chal rahe hai
Kya aisa koi kanoon nai ki jo sath me jindgi jina hi nahi chahti usko kuch to punishment kare