Upgrad
LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Nisha   15 August 2017

Mujhe pati se divorce chahiye, help kare

meri shadi ko 2,1/2 saal se jyada time ho gya hai, shadi ke baad se hi pati mere se mar pit karta, or gali gloj karta or nasha bhi karta, uske is bartaw se uske sath rahna chhod diya. usne mere mata pita ke sath bhi mar pit ki or usne mere ghar aakar mujhse mar pit ki, mujhe usse alag hue 2 saal ho gye hai. wo mujhe talak nahi de raha hai. or mujh par or mere pariwar par jhute case lagane ki damki deta rahta hai. mene talak ke liye aawedan kar diya hai, or mera talak nahi ho rha hai. or meri family garib ghar se hai, wo or paisa court or wakil ko nhi de sakte hai, mujhe kab tak or court ke chakar lgane honge. or logo se or kitna karj lena padega? kab me apni jindgi ji sakungi. pati ke paas paisa he isliye ham par jhute kaise lgata hai. mujhe pati se kuch nahi chahiye mujhe sirf usse talak mil jaye. ab me kya karu. na mere paas paise hai or na hi koi support. plz advise me.


Learning

 8 Replies

Adv Radhika Mehta (Advocate)     15 August 2017

You can approach the Legal Aid office and get a lawyer jo aapka case kam paise mein ladega. 

1 Like

Siddharth Srivastava (Advocate)     15 August 2017

Ms.Radhika has rightly advised you to approach legal aid situated in ever district/high court and also in Supreme Court. You can also claim maintenance and legal expense from your husband. You have every right to live with dignity.

Nisha   15 August 2017

Madam, main claim maintenance or legal expanse ka mukdama kar chuki hu. lekin koi fayda nahi ho rha hai. kyoki pati ke paas ke paisa he or unke related wale wakil hai. lekin mujhe koi claim nhi chahiye bus mujhe divorce mil jaye or apni aage ki jindagi ji saku. kya legal aid office ke baad kitne time me mera divorce ho jayega, kya kam paise me mera jald kaam ho jayega. or ex-parte talaak kaise hota hai kya isme mujhe koi help ho sakti hai

Sankalp Paliwal (Advocate)     15 August 2017

approach mediation center and get your case setteled in lok adalat.... mediation center can call ur husband on same table and you can have better talk because in such matrimonial matters final solutions can only be obtained thru mediation.. court se kah ke apna case mediation center me lagwae... waha aap saari bate rakhiega apni... solution wahi hai

1 Like

Adv Radhika Mehta (Advocate)     16 August 2017

ex-parte Divorce toh tabhi hoga jab aap case file kare aur aapke pati Court mein naa aaye. Legal aid ke office se aap ko bhi vakil mil jayega joh aapko achi tarah se guide kar sakta hai.  It is immaterial whether your husbands relative is a vakil or not. 

1 Like

pankaj verma   29 August 2017

ap free legal office me jao...apko free valil appointe kiya jayega do ya teen hearings k bad ap apna case mediation k liye rkhvao...or judge ko ya mediator ko ye show kro k ap dono an sath nhi rh skte...kuch hearing s k bad apka husband. khud. divorce k liye man jayega....then file the mutual divorce petition.... 09816374011
1 Like

Nisha   12 September 2017

wo divorce dene se mna kar rha hai.

kahta me tumhe barbad kar dunga or jine nhi dunga

mujhe hi court jana padta hai wo nahi aata

Shankar Gaud   16 December 2020

Sir and mem meri patni  mere ghar se jagada kar ke sasuraal chali gyai aur juthi jhuti baat kahti h hame taalk do Abhi meri saadi ko 10 mahine huwe h mai out off country rahta hu meri saas bhi jhuti jhuti baat me fasne ko kahti h mai kay karu 

 


Leave a reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register