Hello sir / madam,
Mere pitaji kisaan hai aur hamari 5 acre zamin hai. Mere pitaji karib 5 saal pahle khali padi hui zamin ek relative se kheti ke liye kharidi thi jo hamari zamin ke bagal me thi aur uske paas mere pitaji ke bhai ki zamin hai.
Mere pitaji ne wo zamin Power of attorny se kharidi thi ( Taki fir wo meri mataji ke naam ho sake).
Power of attorny ko kiye hue abhi lagbhag 25 din hi hue the ki mere pitaji ko mansik rog ( mental illness ) ho gaya. iske thode din baad mere pitaji ke bade bhai ne mere pitaji ko medical check up par le jane ke bahane mere pitaji ko bahla fusla kar power of attorny apne naam karva kar zamin apne naam register karva li aur iski kisi ko khabar tak nhi lagne di.
Aaj jab bhi hum apni zamin unse wapas mangte hai to wo dene ko inkar kar rahe hai aur aur ulta jaan se mar dene tak ki dhamkiya bhi dete hai. Is baat se mere pitaji ko gahra dhakka laga hai. Yeh sab fraud hamse zamin ke bhaav jyada hone ke karan kiya gaya hai. Mere pitaji ko us waqt kuch bhi pata nhi tha. hamare saath fraud kiya gaya hai. Kya me un logo par koi case kar sakta hu? Mujhe kya karna chahiye? Hamare paas pitaji ke sabhi medical reports hai. Plz help us
Thank You