Upgrad
LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Property matter

(Querist) 16 October 2011 This query is : Resolved 
Hello sir/madam
I want to be guidence about this matter which file is attach. please reply me . THAK YOU.
Raj Kumar Makkad (Expert) 16 October 2011
Aapko diwani mamlon ka jankar vakil chahiye. aap turant case karke apna mkan khali krayeeye or vasiyat ko adalat main pesh kijiye. aap us avaidh roop se kabij vyakti ko notice bhi dila dijiye or usse kiraye ka 10 guna prati mah ke hisab se jurmane ki mang bhi usi notice main kijiye or adalat ke samne bhi rakhiyega. Thoda samye to lgega magar kanuni rasta to yahi hai. vaise bhga dene ki takat ho to vo chhota rasta hai. police ki madad bhi li ja sakti hai ki avidh rup se tale todkar kabij ho gya hai.
prabhakar singh (Expert) 16 October 2011
aap k liye makkad ji ne bilkul thik paramarsh diya hai jo kabile amal hai.
Shailesh Kr. Shah (Expert) 17 October 2011
aapko ab turant action lena chayaie, jo Makkad ji ne bataya hai.
Bharti Joshi (Querist) 21 October 2011
Thank you sir for your suggestion .
Bharti Joshi (Querist) 24 October 2011
Gud morning sir ,
mer bhai ki last day evning hospital me death ho gai hai . jaisa ki mai aapko pahle hi bata chuka hu ki unhone mera permission ke bina kisi ka saman ghar me rakh liya hai aur vo apne kirayedar hone evam is hetu masik bhugtan ki bat kar raha hai, us sambandh me mere us bhai ne apni death se kuch hour pahle likhit me swa-hastakshrit kathan me kaha hai ki us aadmi ne aisa matr mere bhai ke kahne par hame darakar dabab banane hetu kaha taki huu makan ko sell na kar paye aur makan ko kisi ko kiraye par nahi diya gaya hai, nahi uprokt saman ko rakhne hetu kisi tarah ka koi bhugtan liya gaya hai,saman matr jan-pahchan ke aadhar par rakha gaya hai. us vyakti koi kabja nahi hai aur ye makan mere dono bhaiyo ka hi hai.
ath ab mujhe kya karna chahiye ,kya mujhe is hetu koi vidhik karyvahi karni chahiye.
NIL SHARMA


You need to be the querist or approved LAWyersclub expert to take part in this query .


Click here to login now



Similar Resolved Queries :