LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

GABBAR SINGH NEVER COME BACK

Page no : 2

Roshni B.. (For justice and dignity)     16 November 2010

kuch nahi raam jee

 

mai kavita sunkar bhagne hee jaa rahi thi,magar uske pahle hee aasu aa agye.

 

plz dil par mat lena....

Bhartiya No. 1 (Nationalist)     16 November 2010

Kuchh, Gadbad Ghotala hai Ram Bhiya,

Arrj Kar Raha Hoon, Jara Gaur farmayeeyega,

 

Hamne unki yaad mein ro ro kar tub bhar diye!

Woh itne bewafa nikle ki, nahakar chal chal diye!!

 

 

door se dekha to barish Ho rahi thi,

paas jakar dekha toh bhig gaye!!


(Guest)

 

Ab jab maan hi gaye ho hamka aap Ashutosh Bhaiya to fir hamre ustadd ko bhi maan hi jaao, oo kah gaye hain hamre ustaad Kabeer ki;

 

 

Pothi padhi-padhi jag mua, Pandit bhaya naa koye !

Aur dhaai aakhar prem ka, jo padhe so Pandit hoye !!

 

Are kaa kahat ho Bhaiya ??.. AYEN ???.....


(Guest)
Originally posted by :Roshni B
"
kuch nahi raam jee

 

mai kavita sunkar bhagne hee jaa rahi thi,magar uske pahle hee aasu aa agye.

 

plz dil par mat lena....
"

 

Are Roshni jee, aap kaahe itni fikar karat ho ayen??  Are Are ab ham kaun kaun ko dil pe lenge ayen?? Are pahle hi hamre dil me bahut bheed-bhaad hai Bhaai so ab aur aur jagah kahan se aaaii AYEN???...

 

Kaa kahat ho Ashutosh Bhaiya??... AYEN???.....

Bhartiya No. 1 (Nationalist)     16 November 2010

Roshaniji,

Pahle toh yee batayeeye ki, chitrawa bana kar hamen kyon darati rahti hain, hamen bhagane ka irada hai kya,

 

Achchha chodiye een sab baaton ko, aur leejiye ek Paheli Hamare taraf Se, Jo aap logon ko pure paanch carore dila sakta hai,

5 carore wali paheli Ye Raha,

 

batayeeye

"Ek Aisi Kali, Jo Kabhi Nahin Khili?"

Bhartiya No. 1 (Nationalist)     17 November 2010

Originally posted by :Ram Samudre-DRF KABEERPANTHI
" Pothi padhi-padhi jag mua, Pandit bhaya naa koye !

Aur dhaai aakhar prem ka, jo padhe so Pandit hoye !!

 .
"

 

Kabeerji Ko to hum bahute Pahle Se mante Hain Bhai, Leejiye Ek hamari taraf Se,

 

Pahan Puje Hari Mile, to main Puju Pahar!

Tati woh Chakki Bhali Jo pees khaye Sansar!!


Kankar Pathar Jodkar, Masjid Diya Banaye!

Ta Chad Mulla Baang De, Kya Bahra hua Khuda Hai!!


(Guest)

 

Dekho Ashutosh Bhaiya, aap thahre nishachar.. so aap ee kaliyan waliyan ke chakkar me pade raho Bhaiya lekin kaheen ham aadhi raat ko ghar se bhagaaye diye gaye so hamko koun kali ke yahan thour milega Bhaiya so hamko hamaare kaantan bhare gulaab ke fulwa ke paas rahne do.. so ham to jaat hain Bhaiya lachchhmi jee ki aarti utaarne... Raam-Raam Bhaiya>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

Bhartiya No. 1 (Nationalist)     17 November 2010

Theek hai Ram Bhaiya so jawo, nahin toh Gabbarwa aa jayega, sasura yahin kahin chhupa hoga, bahut hi kameena hai, bhagnewala nahin hai.

Sawalawa ka dhyan rakhan, paanch karore ka sawal hai Bhaiya, kahin chhot na jaye,


(Guest)
Originally posted by :Ashutosh Bhartiya
"
Kuchh, Gadbad Ghotala hai Ram Bhiya,

Arrj Kar Raha Hoon, Jara Gaur farmayeeyega,

 

Hamne unki yaad mein ro ro kar tub bhar diye!

Woh itne bewafa nikle ki, nahakar chal chal diye!!

 

 

door se dekha to barish Ho rahi thi,

paas jakar dekha toh bhig gaye!!
"

Are kaa bataaywayen Ashutosh Bhaiya ee sasuri kouno chhoti moti gadbad naheen na hai balki bahutai bhayankar gadbad hai Bhaiya !!.. Oo kaa hai ki ee hamko bahutai puraana rogwa hai ki jon sasuri nazar ke saamne aawat hai ohi pe ee dil aaaaaaaa jaaaat hai Bhaiya aur ek sasura she'r dahaaaaaaddd uthat hai Bhaiya AYEN !!!.. KAA KAHAT HO BHAIYAAAAAAAA????????????????


Leave a reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register  


Recent Topics


View More

Related Threads


Loading