Exclusive HOLI Discounts!
Get Courses and Combos at Upto 50% OFF!
Upgrad
LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

VIKAS (MANAGER ACCOUNTS)     23 August 2012

False dowry case

Sir
Good Evening

Meri bade bhai ki shadi ko 1.5 sal ho chuka hai. pichle teen mahine se who humse alag reh rahen hai. ab meri bhabhi mere papa se ghar main hisa mang rahi hai hisa na dene par who false dowry case main fasane ki dhamki deti hai. Mere father ki tabiyat bhi ab kharab rehne lagi hai. meri wife 7 months pregnent hai main bhi bahut pareshan hoon. Please hume guide kare ki hum kya kare, Kis tarah main apne family to false case main phasne se bacha sakta hoon.

Meri bhabhi apni marji se alag hui thi aur apna sara saman aur  hamar gold bhi le ja chuki hai. abhi who mere bhai ke sath rehti hai aur use baar baar hissa mange ko kehti hai. nahin to anjam bhugtne ki dhamki deti hai. Mere bhai aur bhabhi dono ki yeh second marriage hai.

agar mere father bhai ko bedhkal kar de to ise kuch fayda hoga aur kya hume women cell main application dalni chaiye.

agar aap yamuna nagar, haryana main koi acha advocate bata sake jo is case main hamari madda kar sake to apki bahut meharbani hogi.

please help me and my family and my upcoming baby.

thanks



Learning

 8 Replies

Nadeem Qureshi (Advocate/ nadeemqureshi1@gmail.com)     23 August 2012

Dear Querist

aapko ghabrane ki jaroorat nahi hai is time aapko bahut hi samajhdari aur sabr se kaam lena chahiye, sabse pahle apni bhabhi se settlement ki baat kro pyar se samjhao agar fir bhi na mane to uske khilaf a mukadma extortion ka u/s 383, 384 of IPC ka dal do.

agar jaroorat samjho to aap mujhe call kar sakte hain

RAKHI BUDHIRAJA ADVOCATE (LAWYER AT BUDHIRAJA & ASSOCIATES SUPREME COURT OF INDIA)     23 August 2012

Dear Author,

First of all tell me ki jis property mein aapki bhabhi hissa maang rahi hai vo aapke father ki self earned property hai ya ancestral/dadalahi? Bhai bhabhi ke pass kitne bachche hai? ALAG KYUN HUE VO LOG? PLS REPLY FIRST.

RAKHI BUDHIRAJA ADVOCATE (LAWYER AT BUDHIRAJA & ASSOCIATES SUPREME COURT OF INDIA)     23 August 2012

Dear Author,

First of all tell me ki jis property mein aapki bhabhi hissa maang rahi hai vo aapke father ki self earned property hai ya ancestral/dadalahi? Bhai bhabhi ke pass kitne bachche hai? ALAG KYUN HUE VO LOG? PLS REPLY FIRST.

VIKAS (MANAGER ACCOUNTS)     24 August 2012

rakhi mam,

 

who mere father ki self earned property hai.bhabhi ko koi bacha nahin hai. who apni marji se alag hui thi who joint family main nahin rehna chahti thi.

Tripti Nagwekar (Owner)     24 August 2012

You are correct.

satinder bassi (properitor)     06 December 2012

 mene sep me nidi se bina dehj shaddi ki thi . me news paper mey adverise di thi , jisme b mene likha tha bina dehj . ousse add se hamra contact hua tha .yeh shaddi hum dono ki dusri shaadi thi . mujhe shaddi ke baad ptta chla ki wife ka phela divorce mutual hai . jis din mujhe ptta chla wo ouske next day apne ghar chali gyi wo b meri absent mey  . apne ghar jakr baad mey women cell me complaint krdi ki mene ousse 50,000/- mange hai . or complaint mey buhaat si item  likhdi ki shaddi mey di hai .  jab ki shaddi bina dehj hui thi . women cell me  nidi ne muj pr blame laeya ki me ousko sharab pilata hu , or shaddi ke baad teen din me bathroom me sou thi . women cell me 2 meeting hi hui thi ousne court mey domestic violence ka case submit ke diya . mere pass mobile phn ki recording hai jisme shaddi ke 3 din baad nidi ki mummy mujse pani ke bill barne ke liye paise mang ne ko kehti hai . jab mene apni city me shaddi ki party di thi ton ouske baad  nidi ki mummy , brother  2 din hamre ghar ruke thae . wo keh rehi hai mey shaddi ke baad 3din bathroom mey soi thi . mere pass ek recording wo hai jis me me nidi ke brother or mother se baat kr reha hu ki mujhe lagta hai nidi ko shaddi ka creze nhi hai . na hi acha behave krti hai . yeh recording nidi ke ghar se jane se 1 din phele ki hai . jab hum women cell gye thae ouske baad mother-in-law or bro-in-law se baat ki jisme mene pusa jo saman aapne complaint mey likha hai ,wo aapne diya hai kya . ton  nidi ki mother keh rehi hai diya ya na diya paper pr sign kr dena hum kuch nhi mangte tumse . yehi baat nidi ka bro keh reha hai . ab mene apni city mey section 9 ka case sumbit kiya hai . jo ounho ne court mey paper  me likha hai wo  women cell ki complaint se bilkul different hai . women cell me papa ka naam nhi likha tha , court ke paper me likha hai . kya mujhe es dono differnt statement ka laab hoga . es statement pr me ghar walo ka naam court case se niklava sakta hu . or me domestic violence case ko high court me challange kr sakta hu . plz tell me  hurry .   

Sudhir Kumar, Advocate (Advocate)     15 January 2013

zara DV Act dekh lo

Rahul Kapoor (Legal Enthusiast)     16 January 2013

hello vikas,

woh aapke father ki property me hissa nhi le sakti.

aap police station me NCR file kar de ki woh dhamki de rahi hai.

agar aapne unka saman wapas kia hai to uski ek list bana k sign karwa le.

 

 

regards-

rahul.gogreen@gmail.com


Leave a reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register