Upgrad
LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Daksh (Student)     31 March 2010

POETIC ENDEAVOURS

musaafir ke raste badalate rahe
muqaddar me.n chalanaa thaa chalate rahe

ko_ii phuul saa haath kaa.Ndhe pe thaa
mere paa.Nv sholo.n pe chalate rahe

mere raaste me.n ujaalaa rahaa
diye us kii aa.Nkho.n ke jalate rahe

vo kyaa thaa jise hamane Thukaraa diyaa
magar umr bhar haath malate rahe

muhabbat adaavat vafaa beruKhii
kiraaye ke ghar the badalate rahe

sunaa hai u.nhe.n bhii havaa lag ga_ii
havaao.n ke jo ruKh badalate rahe

lipaT ke charaaGo.n se vo so gaye
jo phuulo.n pe karavaT badalate rahe


 

 

ye inaayate.n Gazab kii ye balaa kii meharabaanii
merii Khairiyat bhii puuchhii kisii aur kii zubaanii

meraa Gam rulaa chukaa hai tujhe bikharii zulf vaale
ye ghaTaa bataa rahii hai ki baras chukaa hai paanii

teraa husn so rahaa thaa merii chhe.D ne jagaayaa
vo nigaah mai.n ne Daalii ki sa.Nvar ga_ii javaanii

merii bezubaan aa.Nkho.n se gire hai.n chand qatare
vo samajh sake to aa.Nsuu na samajh sake to paanii



 

kahii.n chhat thii diivaar-o-dar the kahii.n
milaa mujhako ghar kaa pataa der se
diyaa to bahut zindagii ne mujhe
magar jo diyaa vo diyaa der se

huaa na ko_ii kaam maamuul se
guzaare shab-o-roz kuchh is tarah
kabhii chaa.Nd chamakaa Galat vaqt par
kabhii ghar me.n suuraj ugaa der se

kabhii ruk gaye raah me.n besabab
kabhii vaqt se pahale ghir aa_ii shab
huye ba.nd daravaaze khul khul ke sab
jahaa.N bhii gayaa mai.n gayaa der se

ye sab ittifaaqaat kaa khel hai
yahii hai judaa_ii yahii mel hai
mai.n mu.D mu.D ke dekhaa kiyaa duur tak
banii vo Khaamoshii sadaa der se

sajaa din bhii raushan hu_ii raat bhii
bhare jaam laharaa_ii barasaat bhii
rahe saath kuchh aise haalaat bhii
jo honaa thaa jaldii huaa der se

bhaTakatii rahii yuu.N hii har ba.ndagii
milii na kahii.n se ko_ii raushanii
chhupaa thaa kahii.n bhii.D me.n aadamii
huaa mujh me.n raushan Khudaa der se .



 

dost ban kar bhii nahii.n saath nibhaanevaalaa
vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa

ab ise log samajhate hai.n giraftaar meraa
saKht nadiim hai mujhe daam me.n laanevaalaa

kyaa kahe.n kitane maraasim the hamaare is se
vo jo ik shaKhs hai muu.Nh pher ke jaanevaalaa

tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa
aaj tanhaa huu.N to ko_ii nahii.n aanevaalaa

muntazir kis kaa huu.N TuuTii hu_ii dahaliiz pe mai.n
kaun aayegaa yahaa.N kaun hai aanevaalaa

mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalate
hai ko_ii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa

kyaa Khabar thii jo merii jaan me.n ghulaa hai itanaa
hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa

tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahii.n har haath milaanevaalaa ...

Ahmed faraz

 

duniyaa jise kahate hai.n jaaduu kaa khilonaa hai
mil jaaye to miTTii hai kho jaaye to sonaa hai

achchhaa saa koii mausam tanahaa saa koii aalam
har vaqt aa ronaa to bekaar kaa ronaa hai

barasaat kaa baadal to diivaanaa hai kyaa jaane
kis raah se bachanaa hai kis chhat ko bhigonaa hai

Gam ho ki Khushii dono.n kuchh der ke saathii hai.n
phir rastaa hii rastaa hai ha.Nsanaa hai na ronaa hai

Nida fazli

 

muhabbat me.n vafaadaarii se bachiye
jahaa.N tak ho adaakaarii se bachiye

har ek suurat bhalii lagatii hai kuchh din
lahuu ke shobadaakaarii se bachiye

sharaafat aadamiyat dard-mandii
ba.De shahro.n me.n biimaarii se bachiye

zaruurii kyaa har ek mahafil me.n aanaa
taqalluf kii ravaadaarii se bachiye

binaa pairo.n ke sar chalate nahii.n hai.n
buzurgo.n kii samajhadaarii se bachiye

Nida fazli.

 

khwab or khowahish main
neend bher kee dorii hay
wasal or judaee main
ankh bher ka waqfa hay
hijar kai andaihron kee
chand bher tammnna hay
zehan or dil main bhe
soch bher judaee hay
phir bhe aisa hota hay
faslay mitanay main
umer beet jati hay
faslay nahe mit-tay..

 

 

Kehtay hain jab ghar mai achanak
aisi aag bharak utthay....
jo chashmai zadn mai,
har ik shaiy ko maut apni lapait mai lai laiy!
Aag bhujana mushkil ho aur....
ghar ka asasaa us se bachanaa namumkin ho toa,
Aik hi rastaa reh jata hai....
ghar ki sab se qeemti cheezain haath mai loa aur,
us se duuur nikal jaao!
meray dil mai bhi aisi hi aag lagi thi....

 

Main ne jaldi jaldi

ankh mai teray bujhtay khuwab samaitay
teri yaad kay tukray...
chun kar dehaan mai rakhay
Aur..............
is aag mai dil ko jaltaa chor ka,
duurr nikal ayaa!
Main ne theek kiya naa??????
Amjad islam Amjad

 

 

khush rehte hain hum
jab jaan lete hain ke vo aas paas hain...
chup rehte hain hum
par vo maan lete hain ke vo kitne khaas hain...
kuch keh bhi nahin pate hum
aur vo sun lete hain ki hum kitne udaas hain...
hum to sab kuch de chuke unhien
unhi ka ye dil aur unke naam ki hi har ek saans hai...
unse kya kahe ab hum
unse judha humara har ek ehsaas hai...
unki kami humien mehsoos nahin hoti
vo humare dil ka ek gehera raaz hain...

 

 

Mai Sun K Us Ki Sab Batain,
Fakat Itna Hi Kehte Hoon,

Khafa Hon Mana Lena,
Ye Sadion Se Rewayat Hai,
Muhabbat Ki Alamat Hai,

Gilay Shikwe Karo Mujh Se,
Tumhe Yara Ijazaat Hai,

Magar Ek Bat Mere Bhi,
Zara TUm Yaad Rakh Lena,

Kabhi Aesa Bhi Hota Hai,
Hawain Rukh BadalTi hain,

Khezaain Lout Ati Hain
Khatain Ho Hi Jati hain,


..Khafa Hona Bhi Mumkin Hai,
Khata HOna Bhi Mumkin Hai,

Hamesha yaaD Rakhna TUm,
K, Taluk Roth Janay Se,
Kabhi Tota Nahi Karte!!...

 

 

meri dua hai tu sabse nek seerat ho,
teri tarah tera dil bhi khoobsoorat ho,
dua se pahle mile tujhko jo tu chahe,
ke khud dua ko teri haathon ki zaroorat ho!!

 

 

"LOVE"


Har nazar ko ek Nazar ki talash hai,
har chehre me kuch toh Ehsaah hai,
Aapse Dosti hum yun hi nahi kar baithe,
kya kare Hamari pasand hi Kuch KHAAS hai . .


Chiragon se agar andhera duur hota,
toh chand ki chahat kise hoti.
Kat sakti agar akele zindagi,
to dosti naam ki cheez hi na hoti.

Kabhi kisi se Zikar e judai mat karna,
Iss dost se kabhi ruswai mat karna,
Jab dil uth jaye humse toh bata dena,
Na batakar bewafai mat karna.

Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai
Asma lakh uncha ho magar jhuk jata hai
Dosti me duniya lakh bane rukawat,
Agar dost sacha ho to khuda bi jhuk jata hai

 

sukoon mil gaya aaj muje badnaam hokar,
tere har ilzaam par yu bezubaan hokar,
khush hun main tere mehfil main badnaam ho kar,
log pad hi leyge teri aankhon main MOHABBAT...
chahe kar de tu inkaar anjaan ho kar.....!!

 

 

Ek shararat kertay hain

Aao mohabbat kertay hain
Hansti aankhoun se keh do
Dareya hijrat kertay hain
Kuch dil aisay hain jin per
Hum b hakumat kertay hain
Koi baat to hai mujh main
Dushman b izzat kertay hain
Zinda rehna hai dushwaar
Acha.. to himmat kertay hain
Waisay hotay nahee hain log
Jaisi chahat kertay hain
Aksar apnay aap se hum
Teri shikayat kertay hain

 

 

Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..


Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..


Zindagi ki musafat ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya...


Bhool na chahta hoon har lamha, har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya...


Guzra hua kal na tha mera, na hai mera our na ho ga kabhi...
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..


woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..


Aana paye the tum to khudaar tha main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya..


us ki muskurahat tere liye ek fareb thi ....
tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya

 

 

Lahu Her Lafz Rota Hai

Liya tha aik wada tumne mujse....
Hamesha khush hi rehna hai...
To dekho, dekh lo aa kar..
Meri ankhon ko dekho tum,
Yeh kitni shokh lagti hain...
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuraty hain...
Koi b ghum agar aye,
Usay hans kar saha main ne...
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pur sakoon ho ga...
To socho gay.....
Kia tha main ne jo tumse,
Wo wada ker diya poora...!!!

=======MAGAR=======

Ik baat hai piyare...
Kabhi jo waqat mil jaye,
To meri shairi parhna...
Tumhain mehsoos to hoga,
Kaheen talkhi bhara jumla...
Kaheen yeh sard sa lehja,
Kaheen par dard ki jheelain...
Kahin lehjay ki karwahat,
Suno....!!!
Main khush to hoon lakin,
Lahoo har lafz roota hai....

 

 

BEST REGARDS

 

D A K S H



Learning

 0 Replies


Leave a reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register