Upgrad
LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Adarsh (director)     28 August 2014

Need help

 
   Main aap se help lena chahta hu . Mere brother ki marriage 18nov2012 ko hui thi . Mera brother pune me service karta tha . Meri bhabhi 2 month hamari family me rhi jab bhai pune tha . Bhabhi ka behave tab se hi sahi nhi tha . 
 
             Jo mumi kuch kaam karne ko kehti thi to bhabhi age se reply karti "haan to dimag nhi h " . Bhabhi ki mumi mere mother ko phone karke ladti ki tum to hamari ladki par dabao bna rhe ho . Feb month me vo brother ke sath pune chali gyi vnha  jakar bhi kaafi bar ladai ki unhone . 
 
             Ek baar bhai ki friend ko lekar bhi ladai ki jise hamari puri family janti h . Bhai ne vnha par bhabhi ko bank aur english ki coaching bhi karvai . Unki mumi phone karke ladti ki tum to hamari ladki ki kamai khana chahte ho par bhabhi bar bar further study karvane ko kehti thi .
 
    Jab brother ne bhabhi se chandigarh shift hone ki baat ki to bhabhi ne kaafi ladai ki aur sucide attempt bhi kiya .bhabhi ynha hamare pas ana nhi chahti thi . Pune me bhabhi ka miscarriage bhi hua tab unhe bhi nhi pta tha vo pregnent hain .jis ki medical report hamare pas h .
 
 Bhabhi march 2014 ko ynha par agyi aur hamare sath rhi . Brother 17 march ko ynha agye . Hume bhabhi ka behave sahi nhi laga tab humne laptop mebkeylogger software install kar diya . Vo apne frnds aur brother se hamari family ki burai karti thi aur kehti thi ye log to divorce bhi nhi dete kionki ye log dowry case se darte hain . Humne tab bhabi ko baitha kar pucha apko koi problem h to humko btao par unhone kuch nhi btaya tab humne unko unki chat dikha di fir vo kuch nhi boli ki kion ki unhone aise baaten . 
 
 
Next day humne unke parents ko call ki aur 4 other members ko lakar baat karne ko kaha . Par ynha par unki mother aur brother hi aye jab vo bhabhi ko lejane lage to humne mana kar diya ki hum inhe aise apke sath nhi bhej sakte bina
 baat kiye par vo log jhoot bolkar police ko le aye police ne done sides ki baat suni aur shi se rehne ko kaha bhabhi ne fir apne ghar jane ko kaha tab vo police ke samne apni mother ke sath apne ghar chali gyi jabki brother ne unhe roka bhi tha . Humare father ji ne unke father se milne ke liye kaha to
 unhone mana kar diya aur bol diya ynha aane ki koi zarurt nhi h . 
 
Ye incident 18 april ka h . Uske baad 26 june ko unke uncle ki call ayi ladki ko lejane ke liye humne bola ki pehle ye baaten solve hongi tab ladki ko lekar jayenge 16 august ko unke village se 10 persons aye the unhone bhabhi ki mumi ki galti nikali aur kaafi sharminda bhi hue . Papa ji ne ye rishtedari na rakhne ko bhi kaha logo ke kaafi kehne se papa g ne 10 days
 ka time manga . Par unhone 3 day me written complaint kar di hamari saari family ke khilaf . Aur usme unhone likja h ki vo hamare ghar izzat se ana chahti hain .
 
 24 august ko women cell ne bulaya tha brother ko vnha par koi result nhi nikla 31 august ko bulaya h dobara. pls kuch tips btao hum kiya kar sakte hain .
 
Ye sirf application h ya FIR h ??
Audio recoding is valid evidence ??
Facebook chating is valid evidence ?
 
Next step kiya hona chahiye hamara 
 
 
 


Learning

 1 Replies

Tajobsindia (Senior Partner )     28 August 2014

English translation please.


Leave a reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register