Upgrad
LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Dispute in lal lakir

(Querist) 26 September 2017 This query is : Resolved 
Please suggest me
Mera ek case he ghar lal lakir me he himachal pradesh me
Bde bhai ne chhote pe stay ka karvaya he
Bda bhai us ghar ko 25 saal pehle mutual consent se chhod kr kisi or joint land me ghar daal liya pkka double story
About chhote ne purane ghar jo ki lal lakir me tha ko tod kr nya bnaya
Abi 25 saal ke baad bde bhai ko us mese his sa chahiye
Ab aap btao chhota bhai case jeet skta he
Kumar Doab (Expert) 26 September 2017
It is believed that you are all Hindu.
Confirm!
Kumar Doab (Expert) 26 September 2017
Ye jamin ka malik kon tha!
Yeh jamin pushtaini ha ya bade bhai ya chote bhai ya aapki khud ki kamai ki ya aap sabki saanjhi?
Kya bade bhai ne apna hisa likhat me mutual consent se chora tha?
Kumar Doab (Expert) 26 September 2017
Agar sambhav hai to aapas me dubara likhat me mutual consent se faisla kar levain.
Jamin ki kimat ,Purane ghar ki kimat or naye ghra ki kimat ka hisab laga kar sabka hisa taiy kar laiven.

JHAGRALU JHANGI bhai ko uska hisa ghar me ya nagad me de devain.

Aisa karke mukkadmebaji, samay ki barabdi, vakil sahib ke fees, nyayalaya ka kharcha, aane jane ka kharcha,…….. tarikh par tarikh se chutkara ho sakta hai.

Anaitha nyayalaya par vishwas karain or faisla hone de jo ki kabhi na kabhi ho hi jayega.
Jaise apko unchit lage kar laiven.
Rajendra K Goyal (Expert) 27 September 2017
Agree with the expert Kumar Doab.
Lakshmidogra (Querist) 27 September 2017
Hanji we are Hindu
US jamin par dada ji rehte the fir ab hum reh rhe he or usme se kuchh humari purchased land bhi he front me
Or vo jamin pehle kharab bhi thi humne thik krvai he miti dalvai he
Ab taya ko vo jamin chahiye
Aap mujhe btao ki lal lakir pe jiska kbja uski ni hoti kya
Lakshmidogra (Querist) 27 September 2017
Mere knowledge me yeh he ki lal lakir par jiska kbja hota he uspe usi ka hak hota he


You need to be the querist or approved LAWyersclub expert to take part in this query .


Click here to login now



Similar Resolved Queries :